Thursday, March 22, 2007

Shayaris

kyun marte ho bewafa sanam ke liye, do gaz zameen bhi nahi milegi dafan ke liye
marna hai toh watan-e-hind ke liye maro , hasinaye bhi duppatta utar dengi tumhare kafan ke liye


lamha lamha waqt gujar jaayega , 7 phro main ke baad koi tumse bandh jaayega
abhi bhi waqt hai kisise affair kar lo , na jaane kaunsa sample tumhe saup diya jaayega


Na jaane woh humse kya chupati thi, kuch toh tha uske hotho pe magar na jaane kyun sharmati thi ,
jab humne muh khulwa ke dekha toh pata chala saali manikchand khati thi



Koi dikha ke roye,koi chupa ke roye,hume rulanewala hume rula ke roye,
marne ka mazaa toh tab hai jab kaatil bhi zanaze pe aake roye


Insano ke kandhe par insan jaa rahe hai,
kafanon main lipte hue armaan jaa rahe hai,
jinhe nahi mili mahobbat duniya main,
mohabbat paane woh kabrastan jaa rahe hai


Ashiq ankho ki baat samajh lete hai,
woh khwabo me aayen toh mulakat samajh lete hai,
rota hai aasman apni zamin ke liye,
log pagal hai usse barsat samajh lete hain…



Jo sagar ne kaha lehron se,
Jo ped ne kaha patto se,
jo phoolon ne kaha kaliyon se,
wohi main tumhe kehta hun,
aey chal chal hawa aane de



Kisi ko kisi ki judai maar gayi. Kisi ko zindagi ki tanhai maar gayi.
Ravan bhi bura aadmi nahin tha doston, use to Ram ki lugai maar gayi..


ek aishwaarya thi deewani si shahrukh pe wo marti thi, najre jhukake,sharma ke hritik ki galiyo se gujarti thi, chori chori salman ko chittiya likha karti thi kuch kahena tha shayad ajay se par na jane kis se darti thi jab bhi milti thi vivek se hamesha pucha karti thi ABHISEKH kaisa hai


lehar ko pyar tha kinaro se , par uski shaadi ho gayi samadar se
kinare ki prit lehero ko khich ke apne pass le aati hai,badnaam na ho mahobbat uski isiliye woh lot jati hai


Pyar vyar tho ek bahana hai.
Ankhen mile na mile honthon ko milana hai..
Yehi style hai sab ashiqon ka kya kare yar.
Raj kapur ka nahi Imran Hashim ka zamana hai..


ANAND jab BOMBAY TO GOA gaya to DON ban gaya. Uske raaste ke pathar KABHI KABHI uski MILLI ke KASME VAADE ki tarah ABHIMAAN paida kar oose PARWANA ban ne par MAJBOOR kar deta the.

BARSAAT KI EK RAAT mein LAAWARIS dil me SHOLAY bhadak uthe. Logon se YAARANA badhakar ye SAUDAGAR apna KHOON PASINA bahata hua ek SILSILA jamata raha.

Lekin hai re NASEEB! Ek NAMAK HALAAL par ek NAMAK HARAAM ne TRISHUL phek kar oose KHUDDAR se DESH DROHI bana diya. ANDHA KANOON aur ADAALAT kabhi is MR. NATWARLAL ko GIRAFTAAR na kar sake. Woh MAHAAN se NAASTIK ban kar kabhi AMAR AKBAR ANTHONY, kabhi SHARABI, kabhi KAALIA, kabhi COOLIE ban ta. Aur kabhi HERA PHERI kar SATTE PE SATTA marta.

Lekin ek din wo KAALA PATHTHAR ek DESH PREMI ban gaya. Oos MARD me ek SHAKTI jaagi aur wo MUQADDAR KA SIKANDAR samay ki GANGA JAMNA SARASWATI paar kar SHAHENSHAH ban gaya!

HUM ye nahi jaante ke kal KOUN BANEGA CROREPATI? Sirf itna jaante hai ki agar aap ko bhi iis AGNEEPATH aur KOHRAM se guzar na hai to to aap bhi AAJ KA ARJUN ban kar dekh lo. AKELA nikal pado TOOFAN ki tarah AAKHRI RASTA ki taraf! Agar MRITYUDAATA bane to hathon me ZANZEER hogi aur apne aap ko DEEWAR ke ander paoge. Aur MAJOR SAAB bane to RAAM BALRAAM ki tarah SHAAN se AJOOBA paoge.

No comments: